Wednesday, October 3, 2007

Kaun Hoon Main

Sab Mein Shamil Hu Magar Sab Se Juda Rehta Hu

Sirf tum Se Hi Nahi Khud Se b Khafa Rehta Hu

Aankh Uthti Hay Na Jhukti Hay Kisi Ki Khatir

Saans Charhti Hay Na Rukti Hay Kisi Ki Khatir

Jo Kisi Dar Pe Na Thehry Vo jhonka Lagta Hu

Hont TharTharayein To Daanton Mein Daba Leta Hu

Jo Kabhi Khul Kar Na Barsay Vo Ghata Lagta Hu

Jaga Jaga Nazar Aata Hu Na Soya Soya

Main Jo Hu Apnay Khayalat Mein Khoya Khoya........

Kisi Mayoos Musawwar Ki Dua Lagta Hu

Apnay Mahol Se Bichra Hoya main Lagta Hu

Pass Baitha Hu Par Uljha Hua Lagta Hu

Aik Benaam Udasi Ki Jhalak Chehry Par

Shayed Iss Shehar Se Rootha Hua main Lagta Hu

Sab Mein Shamil Hu Magar Sab Se Juda Rehta Ho

Sirf Tum Se Hi Nahi Khud Se b Khafa Rehta hoon......